Surya Namaskaar (Sun Salutation)
Doston Surya namaksar pratahkaal uth kar kiya jaane waala sabse achuk yoga hai.
Surya namaksar kya hai, iska prachalan kaise suru hua, ise kaise karna hai aur iske faede kya hain ye aaj main aapko iss blog me bataunga.
Surya Namaksar Kya Hai.
Surya Namaskar (Sanskrit: सूर्यनमस्कार IPA: [suːrjɐ nəməskɐːrɐ]; IAST: Sūrya Namaskāra), or Sun Salutation, is a Yoga practice incorporating a sequence of gracefully linked asanas.
The nomenclature refers to the symbolism of Sun as the soul and the source of all life.
Mark Singleton makes the controversial claim that the sun salutation is relatively a modern practice that developed in the 20th century.
Many other authors have disproven this, including Joseph Alter, Srivatsa Ramaswami, and Christopher Tompkins. There is evidence to suggest that the sun salutation was used by famous Indian general Sivaji and Marathi yogi Ram Das during the Mughal invasion of India.
Surya Namaksar Kaise Karein.
Step 1: Pranamasana (Prayer pose)
Shuruati mudra me dono haato ko jodkar sidhe khade rahiye, najar samne aur dimag shant. Dono pairon me thoda antar(distance) rakhiye.
Step 2: Hastauttanasana (Raised Arms pose)
Saans lete hue apne dono haaton ko dhire dhire uper ki aur le jaakar piche ki aur jhuke.
Step 3: Hasta Padasana (Hand to Foot pose)
Phir saans ko dhire se chodte hue sidha age ki taraf jhukte hue pairon ke anguthe ko chune ki aur sir ghutne ko chune ki koshish kare. Is douran aapke haath sidhe hone chahiye aur ghutne ko bhi siddha rakhe.
Step 4: Ashwa Sanchalanasana (Equestrian pose)
Isi mudra me apne daae pair ko piche ki aur le jaye aur baya pair apne aap apki chaati ko lagte hue uper asmaan ki aur dekhiye. Is dauran aapke dono hath pairon ko pas jamin ko chipke hue hone chahiye.
Step 5: Dandasana (Stick pose)
Ab saans ko dheere se chodte hue dusra pair bhi piche ki aur le jakar dono pairon ki ediyon ko aapas me jode aur sirf anguthe ko jamin par hone de saath hi sharir ko bhi piche ki aur khichiye. Is dauran bhi haath aur pair mudne nahi chahiye sidhe rakhe aur apne pet aur dekhe(Isse apki garden par jor padega).
Step 6: Ashtanga Namaskara (Salute With Eight Parts Or Points)
Ab Aapko jamin par is tarah se letna hai jisse apke sharir ke 8 ang jamin ko chue (Dono pair, dono haath, dono ghutne, chati aur naak). Kamar ke niche ka bhag thoda upar ho. Yaad rakhe is mudra me saans ko rok kar rakhe.
Step 7: Bhujangasana (Cobra pose)
Ab apne haatho aur pairon ki jagah ko na badalte hue aasman ki aur dekhna he saath hi pairon ke panjon ko bhi dhikhana hai.
Step 8: Parvatasana (Mountain pose)
Yahan par aapko phir se mudra 5 banani he bina haath aur pair hilaye. Saath hi saans bhi na chode.
Step 9: Ashwa Sanchalanasana (Equestrian pose)
Ab Aapko vapas mudra 4 me aana he. Uske liye apna daya pair aage haathon ki aur laye baaya pair na hilate hue aur thodi saans le.
Step 10: Hasta Padasana (Hand to Foot pose)
Ab Aapko mudra 3 me jaisa karna he. Is liye apna dusra pair bhi pahle pair ke pass laye aur jitna jhuk sakte ho jhuke. Haath jamin par aur sir ghutne ko chune ki koshish kare. Is douran aapke haath sidhe hone chahiye aur ghutne ko bhi siddha rakhe.
Step 11: Hastauttanasana (Raised Arms pose)
Is mudra me dheere se apne haathon ko uper se kaano ko chute hue piche le jate hue aasman ko dhikaye.
Step 12: Akhari Mudra
Yah aakhari mudra hai, isme apko vapas mudra 1 jaisa karna hai. Ane haath jodkar siddha khade rahe.
Yah hua ek purn Surya Namaskar. Aise shuruaati din me agar aap 10-10 bhi karte ho to bhi bahot he. Phir 1 ya 2 hafton me Badhate rahe, aap tandrust aur furtile mahsus karenge. Yaad rakhe apne saath apne rishtedaro aur doston ko bhi ye khubsurat article dikhye aur share kare. Taki wo bhi ek tandurust aur furtile sharir ko pa sake.