Migraine (Causes, Symptoms, Home Remedies, Cure's)
Migraine ek atyant gambheer dard ke roop me Jana jata hai. Kiske karan aksar matli, ulti, aur hanthon pairo me jhunjhuni type ki hoti hai.
Migraine se sir ke ek taraf ya fir pure sir mein dard ho sakta hai. Ye kuchh minute, kuchh ghante ya fir kuchh Dino ke liye bhi ho sakta hai. Visheshagyon ke anushaar vishwa me lagbhag 20% log iss gambhir bimaari ka sikaar hain.
Mahilaon me migraine ki samasya purusho ki apekshajyada hoti hai. Migraine aam taur par garbhawastha ke dauraan aur rajoniwratti Ke baad nai hota. Migraine ka attack kisi bhi umra Mein ho sakta hai lekin jyadatar ye kishorawastha me start hota hai.
Migraine ka hamla achanak hota hai, pahele ye dheere dheere dard ke roop me ata hai aur baad me bhot hi asahniye aur gambhir dard me tabdeel ho jata hai.Kai logo ko iska pata tab chalta hai jab we Kai saalon tak iss dard ko jhelne ke baad iske lakshano se waakif hote hain.
Symptoms Of Migraine in Hindi
1- Aadhe sir me dard.
2- Aankhon me dard.
3- Aankhon se kam dikhna.
4- Ulti hona.
5- Bhoonkh kam lagna.
6- Sareer kamjor hona.
7- Paseena Adhik ana.
8- Neend kam ana.
9- Tanaav me rahna.
Causes Of Migraine
1- Kaam ka Adhik dabaav:
Jyadatar aisa hota hai ke kisi bhi office ya fir job criteria me work load bhot jyada badh jata hai. Un wyaktiyon ko, jinke sath adhiktar aisa hota hai, unhein migraine ka khatra bhi Adhik hota hai.
2- Neend Puri na hona:
Jab work load ke karan ya fir kisi bimari Mein ya kisi aur wajah se aap bharpur neend nahin le pate to bhi aapko migraine ka khatra jyada hota hai.
3- Uchch raktachaap:
High blood pressure ke marizon ko bhi migraine ka khatra jyada hota hai.
4- Dhumrapaan:
Dhumrapaan se swasthya ko hani to hoti hi hai saath hi saath isse hamein migraine ka khatra bhi jyada hota hai.
5- Khaan paan me aniyamitata:
Akshar ham apni busy life me apne work pressure ke beech ye bhi bhul hate hain ke bhojan bhi hamare sarir ke liye ek jaruri cheej hai. Aksar isi wajah se ham dheron bimaariyon ka sikaar ho jate hain jinke se ek bimari Migraine bhi hai.
6- Anuwanshikta:
Migraine ka sabse bada aur asardaar karan Anuwanshikta hi hai. 100 me se sarwadhik 40% logon ko ye bimari anuwanshik taur par milti hai.
Do And Don't In Migraine
Migraine me kya karna chahiye aur kya nahi ye baatein janna bhi bhot jaruri hai
Migraine Mein Kya Karein
1• Santulit aahar lein aur jyada samay tak bhunkhe na rahein.
2• Bharpur matra me Pani Peena chahiye.
3• Bharpur Neend lein. Adhuri Neend ya Adhik sone se bhi migraine ka khatra rahta hai.
4• Doctors ki salaah ke anushaar hi dawaen leni chahiye. Kuchh dawaon ke sewan se bhi migraine ho sakta hai iss karan har baar doctor ki salaah lein.
5• Tanaav mukt rehne ki koshish karein. Yog, pranayaam aur sangeet Sun kar Mann ko shan't rakhne ki adat dalein aur Tanaav se dur rahein.
6• Galat tarike se uthne, baithne ya sone se apke sir, Gale ya peeth se Jude snaayu Mein sankuchan se bhi migraine ka khatra rahta hai. Hamesha baithte waqt ya let te waqt sareer ka Posture thik rakhein.
7• Yog, medicine aur niyamit roop se wyayaam ka khaash khayaal rakhein.
8• Barf ya thande Pani ki Patti sir par rakhien. Isse Jo rakta dhamniyan fail gai hain wo fir se apni purwa sthiti Mein wapis ajaengi.
9• Sir par mehndi ka lep lagane aur daalchini pees kar lagane se dard me araam milta hai.
10• Migraine ke dard me adrakh bhot hi faedemand hoti hai. Adrakh ke sewan se mitli aur ulti hona band ho jati hai.
11• Migraine ka dard hone par Aram ki sakhta jarurat hoti hai. Apni ankhien band karke sone ki koshish karein.
12• Hari pattedaar sabjiyon aur vegetables juice jaise gajar palak aur kheera ka istemaal karein.
13• Raat ko halka ewam fiber yukta bhojan karein. Raat ko sote waqt 1 chammach trifla evam amla ke Churna ko gungune Pani ke sath sewan karein isse pet saaf rahega aur aap kafi Aram mahsus karenge.
14• Sir me dard hone par jeebh ki nok par ek chutki namak rakhne aur adha minute ke baad Pani pee lein. Sir dard gayab ho jaega.
Migraine Me Kya Na Karein
1• Tej roshni wa tej shor se door rahein.
2• Tej dhoop me wa atyadhik thand me ghar se bahar na niklein.
3• Migraine ka dard hone par apna muh thande Pani se dho lein wa andhere kamre me araam karein aur Aankhon par jyada jor mat dalein.
4• Kuchh samay ke antaraal par niyamit roop se thoda thoda bhojan karein aur ek baar me bharpet bhojan na karein. Agar apko khadya padarthon se elergy hai to un falon wa sabjiyon ka sewan na karein.
5• Migraine se peedit 16 sal se kam umra ke bachchon ko aspirin nahin leni chahiye aur dabav aur stress se dur rahna chahiye.
6• Migraine ki condition mein Tej itra aur perfume nai lagana chahiye.
Home Remedies For Migraine In Hindi
Sir dard jab itna Tej ho jae ke kisi bhi medicine se Aram na mile to aise mein Gharelu Nuskhe
Prayog karke migraine ke dard se chhutkaara paya ja sakta hai.
1• Har roz din me do baar gae ke ghee ki 2-2 bundein naak Mein daalein. Isse migraine me kaafi araam milta hai.
2• Tel ko halka garam kar lein aur migraine ka dard sir ke jiss hisse me ho wahan par halke haanthon se malish karwaen.head massage ke sath sath kandhe, gardan,pairon wa haanthon ki bhi malish karwaen.
3• Subah khali pet Apple khaen. Migraine ke dard se chhutkaara pane me kaafi asardaar hoga.
4• Migraine ka attack and par mariz ko bed par lita Dein aur uske sir ko bed ke niche ki or latka dein. Sir ke jis bhag me dard ho uss taraf ki naak me tel ki kuchh bund daalen aur rogi ko jor se saans lene ko bolen. Iss upay ko karne par kuchh hi der me dard kam hone lagega.
5• Ghee aur kapoor ka istemaal karein. Thoda sa kapoor gae ke desi ghee me milakar sir par halki malish karne se sar dard me aram milta hai.
6• Migraine me kuchh logo ko thandi cheejon se aram milta hai aur kuchh ko garam cheejon se. Agar aapko garam cheejon se aram milta hai to garam Pani nahin to thande pani me tauliya bhiga kar dard wali jagah par rakhne par kuchh hi der me dard se aram mil jata hai.
7• Neemboo ke chhilke ko pees kar past bana lein aur ise manthe par lagaen. Isse adhe sir ke dard me aram milta hai.
8• Band gobhi ke Patton ko pees kar uska past bhi mathe par lagane se aram milta hai.
9• Migraine ki beemari me paani jyada piyen. Aap chai ka bhi istemaal kar sakte hain.
10• Jab bhi migraine ka attack ho to aap kisi khali kamre me chale jaen aur sone ka prayash karein.

Migraine Ke Ilaaj Ke Baba Ramdev Yoga Tips:
Roxana yoga aur exercises karke migraine se chhutkaara paya ja sakta hai. Jin wyaktiyon ko adhe sir ke dard ki pareshani rahti hai be Baba Ramdev ke batae yogasano ke madhyam se dard se chhutkaara paa sakte hai. Ninche diye gae asano ki madad se migraine me madad milti hai.
1• Anulom vilom pranayaam
3• Janu sirsayana
4• Sishu asana
5• Setu bandha
Doston ye kuchh asaan gharelu upchaar hain jinki madad se aap migraine se kafi had tak aram pa sakte hain.
Doston agar aapke pass bhi migraine se chhutkaara bpane ke tips hain to hamein comment box me jarur likhe.